Chalo hum farz kartay hain...

Chalo hum Farz kartay hain...
Wohi batain jo Duniya main nahi hotin,
Chalo hum Farz kartay hain...
Kay har su Noor phaila hay,
Na Din main chaaya Sunnata,
Na Raaton main Andhera hai,
Na Suraj shab main sota hy,
Na Din main chand khota hai,
Hay har Dil roshni say pur,
Aur Aankhon main Ujalay hain,
Chalo hum Farz kartay hain...
Kay har Mosam baharan hai,
Khizaan main Phool khiltay hain,
Nigahain rag say Mahati hain
Guloon ki Khushbuoon say...
Sab Nazaaray Muattar hain,
Parinday Chahchatay hain,
Khushi kay Geet gatay hain,
Chalo hum Farz kartay hain...
Kay har dil main Muhabbat hai,
Kaheen Jhagray nahi hotay,
Na Barish Dukh ki hoti hai,
Na Aandhi Gham ki chalti hai,
Na Nafrat phaans banti hy,
Hain sabhi Chehron pe Muskanain,
Kaheen Jaghray nahi hotay,
Chalo hum Farz kartay hain...
Kay Gham khushion say behtar hain,
Chalo hum Farz kartay hain...
Ye Duniya Tum say behtar hai,

Zara thehro.....!!

Magar hum Farz kyun kar lain...?
Yakeen Mujh ko batata hy,
Hakeekat to hakeekat hy,
Main Sab kuch jaan sakta hoon,
Na Suraj shab main Shamkay ga,
Na Din main Chand niklay ga,
Khizan main Gul nahi khiltay,
Ye Nafrat mar nahi sakti,
Na Gham khushiyon say behtar hain,
Na Duniya tum say bahtar hai,
Hai Duniya ki haqeeqat kya...?

Faqat aik tum hi achay ho...!

Jahano say Zamano say...
Maknoon La maknoon say....
Ye Sab kuch hai wohi jo,
Isi Duniya main hota hai...
To phir hum Farz kyun kar lain...?

Faqat ik tum hi achay ho...!

Amjad Islam Amjad...