Meri Zindagi To Firaaq Hai, Wo Azal Se Dil Main Makeen Sahi...
Wo Nigaah-E-Shoq Se Door Hain, Rag-E-Jaan Se Laakh Qareeb Sahi...
Humein Jaan Deni Hai Aik Din, Wo Kisi Tarhan, Wo Kaheen Sahi...
Humen Aap Khenchiye Daar Par, Jo Nahi Koi To Hum Hi Sahi...
Sar-E-Toor Ho, Sar-E-Hashr Ho, Humein Intezar Qubool Hai...
Wo Kabhi Milein, Wo Kaheen Milein, Wo Kabhi Sahi, Wo Kaheen Sahi...
Na Ho, Un Pe Jo Mera Bas Nahi K Ye Aashiqi Hai Hawas Nahi...
Main Unhi Ka Tha, Main Unhi Ka Hoon, Wo Mere Nahi To Nahi Sahi...
Jo Ho Faisla Wo Sunaaiye, Issay Hashr Par Na Uthaaiye..
Jo Karen Ge Aap Sitam Wahan, Wo Abhi Sahi, Wo Yahin Sahi...
Unhen Dekhne Ki Jo Lau Lagi To Naseer Dekh Hi Len Ge Hum...
Wo Hazaar Aankh Se Door ho, Wo Hazaar Parda-Nasheen...
( Pir Naseer Udin Naseer Shah )